Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Tera nasheela badan baahon ne chhoda nahi
Aankhein to kholi magar sapna woh toda nahi
Haan wahin, woh wahin
Saanson pe rakha hua tere hothon ka sapna abhi hai wahin
O. Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahi
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahi
Tere bina bhi kabhi tujh se machal leti hoon
Karvat badalti hoonn to sapna badal leti hoon
Tere bina bhi kabhi tujh se machal leti hoon
Karvat badalti hoonn to sapna badal leti hoon
Tera khyaal aaye to balkha ke pal jata hai
Paani ki chaadar tale tann mera jal jaata hai
Haan wahin, woh wahin
Saanson pe rakha hua tere hothon ka sapna abhi hai wahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Tere gale milne ke mausam bade hote hain
Janmon ka waada koyi yeh gham bade chhote hain
Ho. Tere gale milne ke mausam bade hote hain
Janmon ka waada koyi yeh gham bade chhote hain
Lambi si ik raat ho, lamba sa ik din mile
Bas itna sa jeena ho,, milan ki ghadi jab mile
Haan wahin, woh wahin
Saanson pe rakha hua tere hothon ka sapna abhi hai wahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin...
Song - Raat Ka Nasha Abhi
Singer - Chithra
Music - Anu Malik
Lyrics - Gulzar
Label - Sonymusicindia
Track - 4:04