Adayein Bhi Hain Mohabbat Bhi Hai
Sharafat Bhi Hain Mere Mehboob Mein
Woh Deewanapan, Woh Zaalim Adaa
Shararat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Adayein Bhi Hain Mohabbat Bhi Hai
Nazakat Bhi Hain Mere Mehboob Mein
Woh Deewanapan, Woh Masoomiyat
Shararat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Na Poochho Mera Dil Kahan Kho Gaya
Tujhe Dekhte Hi Tera Ho Gaya
Aankhon Mein Tu, Mere Khwaabon Mein Tu Hai
Yaadon Ke Mehke Gulabon Mein Tu Hai
Woh Sehmi Nazar, Woh Kamsin Umar
Chahat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Woh Deewanapan, Woh Masoomiyat
Shararat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Saanson Ki Behti Lehar Ruk Gayi
Mujhe Sharm Aayi, Nazar Jhuk Gayi
Ke Hum Unke Kitne Kareeb Aa Gaye
Yeh Soch Ke Hum To Ghabra Gaye
Woh Baankpan, Woh Deewangi
Inayat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Woh Deewanapan, Woh Zaalim Adaa
Shararat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Mohabbat Ki Duniya Basane Chala
Main Tere Liye Sab Bhulane Chala
Khushbu Koyi Uski Baaton Mein Hai
Har Faisla Uske Hathon Mein Hai
Woh Mehaka Badan, Woh Sharmeelapan
Nazakat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Woh Deewanapan, Woh Zaalim Adaa
Shararat Bhi Hai Mere Mehboob Mein
Adayein Bhi Hain Mohabbat Bhi Hai
Nazakat Bhi Hain Mere Mehboob Mein...
Song - Adayein Bhi Hain Mohabbat Bhi Hai
Album - Dil Hai Ke Manta Nahin
Singer - Anuradha Paudwal, Kumar Sanu
Music - Nadeem Shravan
Lyrics - Sameer
Label - T-Series
Track - 5:17