Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Ap Is Tarah to Hosh Uraya Na Kijie
Yun Ban Sanwar K Samney Aya Na Kijie
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Na Chero Hamain Ham Sataye Huwe Hain
Bahut Zakhm Seene Pe Khaye Huwe Hain
Sitam Gar Ho tum Khoob Pehchante Hain
Tumhari Adaon Ko Ham Jante Hain
Daghabaz Ho Tum Sitam Dhane Wale
Fareb e Muhabbat main Uljane Wale
Yeh Rangiin Kahani Tumhi ko Mubarak
Tumari Jawani Tumhi Ko Mubarak
Hamari taraf se nigahain hata lo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Mast aankho Ki baat chalti hai
Maikashi karwate badallti hai
Ban sanwar kar wo jab nikalte hain
Dil kasi sath sath chalti hai
Haar jate hain jeetne wale
Wo nazar aisi chaal chalti hai
Jab hatate hain rukh se zulfon ko
Chaand hasta hai raat dhalti hai
Jab hatate hain rukh se zulfon ko
Chaand hasta hai raat dhalti hai
Bada kash jaam todh dete hain
Jab nazar se sharaab dhalti hai
Kya qayamat hai un ki angdai
Kich k goya kamaan chalti hai
Yun haseeno ki zulf lehraye
Jese nagan koi machalti hai
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Sambhalo zara apna anchal gulabi
Dikhao na has-has k aankhe sharabi
Sulook in ka dunya main achha nahi hai
Haseeno pe ham ko bharosa nahi hai
Uthate hain nazrain to girti hai bijli
Ada jo bhi nikli qayamat hi nikli
Jahan tum ne chehere se aanchal hataya
Wahin ahl-e dil ko tamasha banaya
Khuda k liye ham pe dore na dalo
Hamain zinda rehne do ae husn walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Sada waar karte ho tegh-e jawa ka
Bahate ho khoon tum ahel-e wafa ka
Yeh nagan si zulfain yeh zehrili najarein
Wo pani na mange yeh jis ko bhi das le
Wo lut jaye jo tum se dil ko laga le
Khir-e hasraton ka janaaza utha le
Hain maloom ham ko tumhari haqeeqat
Muhabbat k parde mai karte ho nafrat
Hain maloom ham ko tumhari haqeeqat
Muhabbat k parde mai karte ho nafrat
Kahin aur ja k aagane uchalo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
ewan mera dil hai, ewane ko kya kahiye
Jinjir me julfo ko fas jane ko kya kahiye
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Ye jhuti numayis, ye jhuti banawot
Farebi najar hai, najar ki lagawot
Ye sundal se kesu, ye aarji gulabi
Janame me layega ekdin kharabi
Fana hamko karde na ye mukurana
aada ka fidana, chalan jalimana
dikhawo na ye, esawano na hamko
Sikhawo na ulfalt pe andaj hamko
ki aaur pe par julf ka jaal daalo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo...
Song - Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo
Album - Kali Kali Zulfon Ke
Singer - Madhur Sharma
Music - Swapnil Tare
Lyrics - Nusrat Fateh Ali Khan
Label - Madhur Sharma
Track - 4:36