Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya yeh woh makaam mera hai
Yahan chain se bas ruk jaaoon
Kyun dil yeh mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar yeh hua hai
Ek aas mili phir mujhko
Jo kubool kisi ne kiya hai
Haan.. kisi shayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukun ke pal
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Hmm…
Jaise koi kinaara deta ho sahara
Mujhe woh mila kisi mod par
Koi raat ka tara karta ho ujala
Vaise hi roshan kare wo shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
Kuchh aisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha rahaa
Hmm... jaise barish kar de taar
Ya marham dard par
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Muskaata yeh chehra deta hai jo pehra
Jaane chhupaata kya dil ka samandar
Auron ko to hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai use phir kyun
Mehsoos mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai irada tera
Hmm.. Main parinda besabar
Thha udaa jo dar badar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein do-pahar
Koi mujhko yoon mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar...
Song - Kisi Shayar Ki Ghazal
Album - Banjaara
Singer - Mohd Irfan
Music- Mithoon
Lyrics - Mithoon
Label - T-Series
Track - 5:33